کچھ اس ادا سے آج وہ پہلو نشیں رہے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 17 sher · Roman Urdu ke saath
kuchh is adā se aaj vo pahlū-nashīñ rahejab tak hamāre paas rahe ham nahīñ rahe
īmān-o-kufr aur na duniyā-o-dīñ raheai ishq-e-shād-bāsh ki tanhā hamīñ rahe
aalam jab ek haal pe qaa.em nahīñ rahekyā ḳhaak e'tibār-e-nigāh-e-yaqīn rahe
merī zabāñ pe shikva-e-dard-āfrīñ raheshāyad mire havās Thikāne nahīñ rahe
jab tak ilāhī jism meñ jān-e-hazīñ rahenazreñ mirī javān raheñ dil hasīñ rahe
yā-rab kisī ke rāz-e-mohabbat kī ḳhair hodast-e-junūñ rahe na rahe āstīñ rahe
tā-chand josh-e-ishq meñ dil kī hifāzateñmerī balā se ab vo junūnī kahīñ rahe
jā aur koī zabt kī duniyā talāsh karai ishq ham to ab tire qābil nahīñ rahe
mujh ko nahīñ qubūl do-ālam kī vus.ateñqismat meñ kū-e-yār kī do-gaz zamīñ rahe
ai ishq-e-nālā-kash tirī ġhairat ko kyā huāhai hai araq araq vo tan-e-nāznīñ rahe
dard-o-ġham-e-firāq ke ye saḳht marhalehairāñ huuñ maiñ ki phir bhī tum itne hasīñ rahe
allāh-re chashm-e-yār kī mojiz-bayāniyāñhar ik ko hai gumāñ ki muḳhātib hamīñ rahe
zālim uThā tū parda-e-vahm-o-gumān-o-fikrkyā sāmne vo marhala-hā-e-yaqīñ rahe
zāt-o-sifāt-e-husn kā aalam nazar meñ haimahdūd-e-sajda kyā mirā zauq-e-jabīñ rahe
kis dard se kisī ne kahā aaj bazm meñachchhā ye hai vo nañg-e-mohabbat yahīñ rahe
sar-dādgān-e-ishq-o-mohabbat kī kyā kamīqātil kī teġh tez ḳhudā kī zamīñ rahe
is ishq kī talāfi-e-māfāt dekhnārone kī hasrateñ haiñ jab aañsū nahīñ rahe