رمزِ زندگیRamz E Zindagi

محبت میں یہ کیا مقام آ رہے ہیں

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

mohabbat meñ ye kyā maqām aa rahe haiñki manzil pe haiñ aur chale jā rahe haiñ
ye kah kah ke ham dil ko bahlā rahe haiñvo ab chal chuke haiñ vo ab aa rahe haiñ
vo az-ḳhud hī nādim hue jā rahe haiñḳhudā jaane kyā kyā ḳhayāl aa rahe haiñ
hamāre hī dil se maze un ke pūchhovo dhoke jo dānista ham khā rahe haiñ
jafā karne vāloñ ko kyā ho gayā haivafā kar ke bhī ham to sharmā rahe haiñ
vo aalam hai ab yaaro aġhyār kaisehamīñ apne dushman hue jā rahe haiñ
mizāj-e-girāmī kī ho ḳhair yā-rabka.ī din se aksar vo yaad aa rahe haiñ