شب فراق ہے اور نیند آئی جاتی ہے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 8 sher · Roman Urdu ke saath
shab-e-firāq hai aur niind aa.ī jaatī haikuchh is meñ un kī tavajjoh bhī paa.ī jaatī hai
ye umr-e-ishq yūñhī kyā gañvā.ī jaatī haihayāt zinda haqīqat banā.ī jaatī hai
banā banā ke jo duniyā miTā.ī jaatī haizarūr koī kamī hai ki paa.ī jaatī hai
hamīñ pe ishq kī tohmat lagā.ī jaatī haimagar ye sharm jo chehre pe chhā.ī jaatī hai
ḳhudā kare ki haqīqat meñ zindagī ban jaa.evo zindagī jo zabāñ tak hī paa.ī jaatī hai
gunāhgār ke dil se na bach ke chal zāhidyahīñ kahīñ tirī jannat bhī paa.ī jaatī hai
na soz-e-ishq na barq-e-jamāl par ilzāmdiloñ meñ aag ḳhushī se lagā.ī jaatī hai
kuchh aise bhī to haiñ rindān-e-pāk-bāz 'jigar'ki jin ko be-mai-o-sāġhar pilā.ī jaatī hai