آنکھوں میں بس کے دل میں سما کر چلے گئے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 13 sher · Roman Urdu ke saath
āñkhoñ meñ bas ke dil meñ samā kar chale ga.eḳhvābīda zindagī thī jagā kar chale ga.e
husn-e-azal kī shaan dikhā kar chale ga.eik vāqi.a sā yaad dilā kar chale ga.e
chehre tak āstīn vo lā kar chale ga.ekyā raaz thā ki jis ko chhupā kar chale ga.e
rag rag meñ is tarah vo samā kar chale ga.ejaise mujhī ko mujh se churā kar chale ga.e
merī hayāt-e-ishq ko de kar junūn-e-shauqmujh ko tamām hosh banā kar chale ga.e
samjhā ke pastiyāñ mire auj-e-kamāl kīapnī bulandiyāñ vo dikhā kar chale ga.e
apne faroġh-e-husn kī dikhlā ke vus.ateñmere hudūd-e-shauq baḌhā kar chale ga.e
har shai ko merī ḳhātir-e-nāshād ke liyeā.īna-e-jamāl banā kar chale ga.e
aa.e the dil kī pyaas bujhāne ke vāsteik aag sī vo aur lagā kar chale ga.e
aa.e the chashm-e-shauq kī hasrat nikālnesar-tā-qadam nigāh banā kar chale ga.e
ab kārobār-e-ishq se fursat mujhe kahāñkaunain kā vo dard baḌhā kar chale ga.e
shukr-e-karam ke saath ye shikva bhī ho qubūlapnā sā kyuuñ na mujh ko banā kar chale ga.e
lab thartharā ke rah ga.e lekin vo ai 'jigar'jaate hue nigāh milā kar chale ga.e