رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ترے جمال حقیقت کی تاب ہی نہ ہوئی

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 17 sher · Roman Urdu ke saath

tire jamāl-e-haqīqat kī taab hī na huīhazār baar nigah kī magar kabhī na huī
tirī ḳhushī se agar ġham meñ bhī ḳhushī na huīvo zindagī to mohabbat kī zindagī na huī
kahāñ vo shoḳh mulāqāt ḳhud se bhī na huības ek baar huī aur phir kabhī na huī
vo ham haiñ ahl-e-mohabbat ki jaan se dil sebahut buḳhār uThe aañkh shabnamī na huī
Thahar Thahar dil-e-betāb pyaar to kar luuñab us ke ba.ad mulāqāt phir huī na huī
mire ḳhayāl se bhī aah mujh ko buad rahāhazār tarah se chāhā barābarī na huī
ham apnī rindī-o-tā.at pe ḳhaak naaz kareñqubūl-e-hazrat-e-sultāñ huī huī na huī
koī baḌhe na baḌhe ham to jaan dete haiñphir aisī chashm-e-tavajjoh huī huī na huī
tamām harf-o-hikāyat tamām dīda-o-dilis ehtimām pe bhī sharh-e-āshiqī na huī
fasurda-ḳhātirī-e-ishq ai ma.āz-allāhḳhayāl-e-yār se bhī kuchh shaguftagī na huī
tirī nigāh-e-karam ko bhī aazmā dekhāaziyyatoñ meñ na honī thī kuchh kamī na huī
kisī kī mast-nigāhī ne haath thaam liyāsharīk-e-hāl jahāñ merī be-ḳhudī na huī
sabā ye un se hamārā payām kah denāga.e ho jab se yahāñ sub.h o shaam hī na huī
vo kuchh sahī na sahī phir bhī zāhid-e-nādāñbaḌe-baḌoñ se mohabbat meñ kāfirī na huī
idhar se bhī hai sivā kuchh udhar kī majbūrīki ham ne aah to kī un se aah bhī na huī
ḳhayāl-e-yār salāmat tujhe ḳhudā rakkhetire baġhair kabhī ghar meñ raushnī na huī
ga.e the ham bhī 'jigar' jalva-gāh-e-jānāñ meñvo pūchhte hī rahe ham se baat bhī na huī