رمزِ زندگیRamz E Zindagi

یہ ہے مے کدہ یہاں رند ہیں یہاں سب کا ساقی امام ہے

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 5 sher · Roman Urdu ke saath

ye hai mai-kada yahāñ riñd haiñ yahāñ sab kā saaqī imaam haiye haram nahīñ hai ai shaiḳh jī yahāñ pārsā.ī harām hai
jo zarā sī pī ke bahak gayā use mai-kade se nikāl doyahāñ tañg-nazar kā guzar nahīñ yahāñ ahl-e-zarf kā kaam hai
koī mast hai koī tishna-lab to kisī ke haath meñ jaam haimagar is pe koī kare bhī kyā ye to mai-kade kā nizām hai
ye janāb-e-shaiḳh kā falsafa hai ajiib saare jahān sejo vahāñ piyo to halāl hai jo yahāñ piyo to harām hai
isī kā.enāt meñ ai 'jigar' koī inqalāb uThegā phirki buland ho ke bhī aadmī abhī ḳhvāhishoñ kā ġhulām hai