رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بارے دنیا میں رہو غم زدہ یا شاد رہو

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 5 sher · Roman Urdu ke saath

baare duniyā meñ raho ġham-zada yā shaad rahoaisā kuchh kar ke chalo yaañ ki bahut yaad raho
ishq-peche kī tarah husn-e-giraftārī hailutf kyā sarv kī mānind gar āzād raho
ham ko dīvāngī shahroñ hī meñ ḳhush aatī haidasht meñ qais raho koh meñ farhād raho
vo garāñ ḳhvāb jo hai naaz kā apne so haidaad be-dād raho shab ko ki fariyād raho
'mīr' ham mil ke bahut ḳhush hue tum se pyāreis ḳharābe meñ mirī jaan tum ābād raho