باتیں ہماری یاد رہیں پھر باتیں ایسی نہ سنیے گا
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 4 sher · Roman Urdu ke saath
bāteñ hamārī yaad raheñ phir bāteñ aisī na suniyegāpaḌhte kisū ko suniyegā to der talak sar dhuniyegā
sa.ī o talāsh bahut sī rahegī is andāz ke kahne kīsohbat meñ ulmā fuzlā kī jā kar paḌhiye ginyegā
dil kī tasallī jab ki hogī guft o shunūd se logoñ kīaag phuñkegī ġham kī badan meñ us meñ jaliye bhuniyegā
garm ash.ār 'mīr' darūna dāġhoñ se ye bhar deñgezard-rū shahr meñ phiriyegā galiyoñ meñ ne gul chuniyegā