رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بنی تھی کچھ اک اس سے مدت کے بعد

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 7 sher · Roman Urdu ke saath

banī thī kuchh ik us se muddat ke baadso phir bigḌī pahlī hī sohbat ke baad
judā.ī ke hālāt maiñ kyā kahūñqayāmat thī ek ek saa.at ke baad
muā kohkan be-sutūñ khod karye rāhat huī aisī mehnat ke baad
lagā aag paanī ko dauḌe hai tūye garmī tirī is sharārat ke baad
kahe ko hamāre kab un ne sunākoī baat maanī so minnat ke baad
suḳhan kī na taklīf ham se karolahū Tapke hai ab shikāyat ke baad
nazar 'mīr' ne kaisī hasrat se kībahut ro.e ham us kī ruḳhsat ke baad