رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہم آپ ہی کو اپنا مقصود جانتے ہیں

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 9 sher · Roman Urdu ke saath

ham aap hī ko apnā maqsūd jānte haiñapne sivā.e kis ko maujūd jānte haiñ
ijz-o-niyāz apnā apnī taraf hai saarāis musht-e-ḳhāk ko ham masjūd jānte haiñ
sūrat-pazīr ham bin hargiz nahīñ ve maaneahl-e-nazar hamīñ ko ma.abūd jānte haiñ
ishq un kī aql ko hai jo mā-sivā hamārenāchīz jānte haiñ nā-būd jānte haiñ
apnī hī sair karne ham jalva-gar hue theis ramz ko va-lekin mādūd jānte haiñ
yārab kase hai naaqa har ġhuncha is chaman kārāh-e-vafā ko ham to masdūd jānte haiñ
ye zulm-e-be-nihāyat dushvār-tar ki ḳhūbāñbad-vaz.iyoñ ko apnī mahmūd jānte haiñ
kyā jaane daab sohbat az ḳhvesh raftagāñ kāmajlis meñ shaiḳh-sāhib kuchh kuud jānte haiñ
mar kar bhī haath aave to 'mīr' muft hai vojī ke ziyān ko bhī ham suud jānte haiñ