رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہستی اپنی حباب کی سی ہے

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 9 sher · Roman Urdu ke saath

hastī apnī habāb kī sī haiye numā.ish sarāb kī sī hai
nāzukī us ke lab kī kyā kahiyepañkhuḌī ik gulāb kī sī hai
chashm-e-dil khol is bhī aalam paryaañ kī auqāt ḳhvāb kī sī hai
baar baar us ke dar pe jaatā huuñhālat ab iztirāb kī sī hai
nuqta-e-ḳhāl se tirā abrūbait ik intiḳhāb kī sī hai
maiñ jo bolā kahā ki ye āvāzusī ḳhāna-ḳharāb kī sī hai
ātish-e-ġham meñ dil bhunā shāyadder se bū kabāb kī sī hai
dekhiye abr kī tarah ab kemerī chashm-e-pur-āb kī sī hai
'mīr' un nīm-bāz āñkhoñ meñsaarī mastī sharāb kī sī hai