ہستی اپنی حباب کی سی ہے
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 9 sher · Roman Urdu ke saath
nāzukī us ke lab kī kyā kahiyepañkhuḌī ik gulāb kī sī hai
chashm-e-dil khol is bhī aalam paryaañ kī auqāt ḳhvāb kī sī hai
baar baar us ke dar pe jaatā huuñhālat ab iztirāb kī sī hai
maiñ jo bolā kahā ki ye āvāzusī ḳhāna-ḳharāb kī sī hai
ātish-e-ġham meñ dil bhunā shāyadder se bū kabāb kī sī hai
dekhiye abr kī tarah ab kemerī chashm-e-pur-āb kī sī hai
'mīr' un nīm-bāz āñkhoñ meñsaarī mastī sharāb kī sī hai