رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آگے جمال یار کے معذور ہو گیا

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 9 sher · Roman Urdu ke saath

aage jamāl-e-yār ke ma.azūr ho gayāgul ik chaman meñ dīda-e-be-nūr ho gayā
ik chashm-e-muntazar hai ki dekhe hai kab se raahjoñ zaḳhm terī duurī meñ nāsūr ho gayā
qismat to dekh shaiḳh ko jab lahar aa.ī tabdarvāza shīra ḳhāne kā ma.amūr ho gayā
pahuñchā qarīb marg ke vo said-e-nā-qubūljo terī said-e-gāh se Tak duur ho gayā
dekhā ye nāv-nosh ki nīsh-e-firāq sesiina tamām ḳhāna-e-zambūr ho gayā
is māh-e-chārdah kā chhape ishq kyūñke aahab to tamām shahr meñ mash.hūr ho gayā
shāyad kaso ke dil ko lagī us galī meñ choTmerī baġhal meñ shīsha-e-dil chuur ho gayā
lāsha mirā tasallī na zer-e-zamīñ huājab tak na aan kar vo sar-e-gor ho gayā
dekhā jo maiñ ne yaar to vo 'mīr' hī nahīñtere ġham-e-firāq meñ ranjūr ho gayā