رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آئے ہیں میر منہ کو بنائے خفا سے آج

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 5 sher · Roman Urdu ke saath

aa.e haiñ 'mīr' muñh ko banā.e ḳhafā se aajshāyad bigaḌ ga.ī hai kuchh us bevafā se aaj
vāshud huī na dil ko faqīroñ ke bhī milekhultī nahīñ girah ye kasū kī duā se aaj
jiine meñ iḳhtiyār nahīñ varna ham-nashīñham chāhte haiñ maut to apnī ḳhudā se aaj
saaqī Tuk ek mausam-e-gul kī taraf bhī dekhTapkā paḌe hai rañg chaman meñ havā se aaj
thā jī meñ us se miliye to kyā kyā na kahiye 'mīr'par kuchh kahā gayā na ġham-e-dil hayā se aaj