تھا مستعار حسن سے اس کے جو نور تھا
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 11 sher · Roman Urdu ke saath
thā musta.ār husn se us ke jo nuur thāḳhurshīd meñ bhī us hī kā zarra zuhūr thā
hañgāma garm-kun jo dil-e-nā-subūr thāpaidā har ek naale se shor-e-nushūr thā
pahuñchā jo aap ko to maiñ pahuñchā ḳhudā ke ta.iiñmālūm ab huā ki bahut maiñ bhī duur thā
ātish buland dil kī na thī varna ai kalīmyak sho.ala barq-e-ḳhiraman-e-sad-koh-e-tūr thā
majlis meñ raat ek tire partave baġhairkyā sham.a kyā patañg har ik be-huzūr thā
us fasl meñ ki gul kā garebāñ bhī hai havādīvāna ho gayā so bahut zī-shu.ūr thā
mun.im ke paas qāqum o sanjāb thā to kyāus rind kī bhī raat guzar ga.ī jo uur thā
ham ḳhaak meñ mile to mile lekin ai sip.harus shoḳh ko bhī raah pe laanā zarūr thā
kal paañv ek kāsa-e-sar par jo aa gayāyaksar vo ustuḳhvān shikastoñ se chuur thā
kahne lagā ki dekh ke chal raah be-ḳhabarmaiñ bhī kabhū kisū kā sar-e-pur-ġhurūr thā
thā vo to rashk-e-hūr-e-bahishtī hamīñ meñ 'mīr'samjhe na ham to fahm kā apnī qusūr thā