یارو مجھے معاف رکھو میں نشے میں ہوں
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 7 sher · Roman Urdu ke saath
yaaro mujhe muaaf rakho maiñ nashe meñ huuñab do to jaam ḳhālī hī do maiñ nashe meñ huuñ
ek ek qurt daur meñ yuuñ hī mujhe bhī dojām-e-sharāb pur na karo maiñ nashe meñ huuñ
mastī se darhamī hai mirī guftugū ke biichjo chāho tum bhī mujh ko kaho maiñ nashe meñ huuñ
yā hāthoñ haath lo mujhe mānind-e-jām-e-maiyā thoḌī duur saath chalo maiñ nashe meñ huuñ
ma.azūr huuñ jo paañv mirā be-tarah paḌetum sargirāñ to mujh se na ho maiñ nashe meñ huuñ
bhāgī namāz-e-juma to jaatī nahīñ hai kuchhchaltā huuñ maiñ bhī Tuk to raho maiñ nashe meñ huuñ
nāzuk-mizāj aap qayāmat haiñ 'mīr' jījuuñ shīsha mere muñh na lago maiñ nashe meñ huuñ