رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آرزوئیں ہزار رکھتے ہیں

Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 7 sher · Roman Urdu ke saath

ārzūeñ hazār rakhte haiñto bhī ham dil ko maar rakhte haiñ
barq kam-hausla hai ham bhī todil ko be-qarār rakhte haiñ
ġhair hī maurid-e-ināyat haiham bhī to tum se pyaar rakhte haiñ
na nigah ne payām ne vaadanaam ko ham bhī yaar rakhte haiñ
ham se ḳhush-zamzama kahāñ yuuñ tolab o lahja hazār rakhte haiñ
choTTe dil ke haiñ butāñ mash.hūrbas yahī e'tibār rakhte haiñ
phir bhī karte haiñ 'mīr' sāhab ishqhaiñ javāñ iḳhtiyār rakhte haiñ