پرسش جو ہوگی تجھ سے جلاد کیا کرے گا
Nazm · Nazm Tabatabai · نظم طباطبائی · 14 sher · Roman Urdu ke saath
pursish jo hogī tujh se jallād kyā karegāle ḳhuun maiñ ne baḳhshā tū yaad kyā karegā
huuñ daam meñ pur-afshāñ aur sādgī se hairāñkyuuñ tez kī haiñ chhuriyāñ sayyād kyā karegā
zālim ye soch kar ab detā hai bosa-e-labjab hoñT sī diye phir fariyād kyā karegā
zanjīr tār-e-dāmāñ hai tauq ik garebāñzor-e-junūñ na kam ho haddād kyā karegā
ham Duub kar mareñge hasrat rahegī tujh kojab ḳhaak hī na hogī barbād kyā karegā
yāqūb qat.a kar deñ ummīd-e-vasl dil seyūsuf sā banda koī āzād kyā karegā
dil le ke pūchhtā hai tū kis kā shefta haibhūlā abhī se zālim phir yaad kyā karegā
ai ḳhatt-e-bayāz aariz darkār hai jo tujh kotahrīr husn kī kuchh rūdād kyā karegā
kunj-e-qafas se ik din hogī rihā.ī apnīmar jā.eñge to āḳhir sayyād kiyā karegā
misl-e-sipand dil hai betāb soz-e-ġham meñrah jā.egā taḌap kar fariyād kyā karegā
ai shaiḳh bhar gayā hai kyuuñ va.az kī havā meñrīsh-e-safed apnī barbād kyā karegā
zulm-o-sitam se bhī ab zālim ne haath khīñchāis se sitam vo baḌh kar ījād kyā karegā
az-bas-ki be-hunar huuñ maiñ nañg-e-mo'tariz huuñmazmūñ pe mere koī ī.rād kyā karegā
ai ''nazm'' jis ko chāhe vo de bahisht dozaḳhnamrūd kyā karegā shaddād kyā karegā