رمزِ زندگیRamz E Zindagi

اس مہینہ بھر کہاں تھا ساقیا اچھی طرح

Nazm · Nazm Tabatabai · نظم طباطبائی · 10 sher · Roman Urdu ke saath

is mahīna bhar kahāñ thā sāqiyā achchhī tarahaa idhar aa iid to mil leñ zarā achchhī tarah
uñgliyāñ kānoñ meñ rakh kar ai musāfir sun zarāaa rahī hai saaf āvāz-e-darā achchhī tarah
chashm-e-mūsā lā sakī ik us ke jalve kī na taabchashm-e-dil se jis ko dekhā bār-hā achchhī tarah
fāsla aisā nahīñ kuchh arsh kī zanjīr sekyā kahūñ baḌhtā nahīñ dast-e-duā achchhī tarah
ahl-e-sūrat ko nahīñ hai achchhī sīrat se ġharazachchhī sūrat chāhiye achchhī adā achchhī tarah
shāhidān-e-lāla-o-gul kī ḳhabar laa.ī hai kuchhsaal bhar ke ba.ad aa.ī ai sabā achchhī tarah
siikh legī bal kī lenā tā-kamar aane to dobal abhī kartī nahīñ zulf-e-dotā achchhī tarah
shīsha-o-jām-o-subū bhar le mai-e-gul-rañg seaaj saaqī ghir ke aa.ī hai ghaTā achchhī tarah
lete haiñ ahl-e-junūñ kyā kyā tasavvur ke mazeaañkh se pariyoñ ko dekhā bār-hā achchhī tarah
de rahī hai us kī ḳhāmoshī sadā-e-dūr-bāshye nahīñ kahtā ki 'nazm'-e-mubtalā achchhī tarah