رمزِ زندگیRamz E Zindagi

سجن ٹک ناز سوں مجھ پاس آ آہستہ آہستہ

Ghazal · Wali Dakani · ولی دکنی · 5 sher · Roman Urdu ke saath

sajan Tuk naaz suuñ mujh paas aa āhista āhistachhupī bāteñ apas dil kī sunā āhista āhista
ġharaz goyāñ kī bātāñ kuuñ na lā ḳhātir manīñ hargizsajan is baat kuuñ ḳhātir meñ lā āhista āhista
har ik kī baat sunñe par tavajjoh mat kar ai zālimraqībāñ us siiñ hoveñge judā āhista āhista
mabādā mohtasib badmast sun kar taan meñ aavetambūra aah kā ai dil bajā āhista āhista
'valī' hargiz apas ke dil kuuñ siine meñ na rakh ġham-gīñki bar lāvegā matlab kuuñ ḳhudā āhista āhista