رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دیکھ دل کو مرے او کافر بے پیر نہ توڑ

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 7 sher · Roman Urdu ke saath

dekh dil ko mire o kāfir-e-be-pīr na toḌghar hai allāh kā ye is kī to ta.amīr na toḌ
ġhul sadā vādī-e-vahshat meñ rakhūñgā barpāai junūñ dekh mire paañv kī zanjīr na toḌ
dekh Tuk ġhaur se ā.īna-e-dil ko mereis meñ aatā hai nazar ālam-e-tasvīr na toḌ
tāj-e-zar ke liye kyuuñ sham.a kā sar kaaTe hairishta-e-ulfat-e-parvāna ko gul-gīr na toḌ
apne bismil se ye kahtā thā dam-e-naz.a vo shoḳhthā jo kuchh ahd so o āshiq-e-dil-gīr na toḌ
raqs-e-bismil kā tamāshā mujhe dikhlā koī damdast o pā maar ke dam tū tah-e-shamshīr na toḌ
saham kar ai 'zafar' us shoḳh kamāñ-dār se kahkhīñch kar dekh mire siine se tū tiir na toḌ