رمزِ زندگیRamz E Zindagi

تفتہ جانوں کا علاج اے اہل دانش اور ہے

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 9 sher · Roman Urdu ke saath

tufta-jānoñ kā ilaaj ai ahl-e-dānish aur haiishq kī ātish balā hai us kī sozish aur hai
kyuuñ na vahshat meñ chubhe har mū ba-shakl-e-nīsh-tezḳhār-e-ġham kī tere dīvāne kī kāvish aur hai
mutribo bā-sāz aao tum hamārī bazm meñsāz-o-sāmāñ se tumhārī itnī sāzish aur hai
thūktā bhī duḳhtar-e-raz par nahīñ mast-e-alastjo ki hai us fāhisha par ġhash vo fāhish aur hai
taab kyā ham-tāb hove us se ḳhurshīd-e-falakāftāb-e-dāġh-e-dil kī apne tābish aur hai
sab miTā deñ dil se haiñ jitnī ki us meñ ḳhvāhisheñgar hameñ mālūm ho kuchh us kī ḳhvāhish aur hai
abr mat ham-chashm honā chashm-e-dariyā-bār seterī bārish aur hai aur us kī bārish aur hai
hai to gardish charḳh kī bhī fitna-añgezī meñ taaqterī chashm-e-fitna-zā kī lek gardish aur hai
but-parastī jis se hove haq-parastī ai 'zafar'kyā kahūñ tujh se ki vo tarz-e-parastish aur hai