رمزِ زندگیRamz E Zindagi

یاں خاک کا بستر ہے گلے میں کفنی ہے

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 6 sher · Roman Urdu ke saath

yaañ ḳhaak kā bistar hai gale meñ kafnī haivaañ haath meñ ā.īna hai gul pairahanī hai
hāthoñ se hameñ ishq ke din raat nahīñ chainfariyād o fuġhāñ din ko hai shab nāra-zanī hai
hushyār ho ġhaflat se tū ġhāfil na ho ai dilapnī to nazar meñ ye jagah be-vatanī hai
kuchh kah nahīñ saktā huuñ zabāñ se ki zarā dekhkyā jaa.e hai jis jaa.e na kuchh dam-zadanī hai
mizhgāñ pe mire laḳht-e-jigar hī nahīñ yaarois taar se vo rishta aqīq-e-yamanī hai
likh aur ġhazal qāfiye ko pher 'zafar' tūab tab.a kī dariyā kī tirī mauj-zanī hai