حلقے نہیں ہیں زلف کے حلقے ہیں جال کےہاں اے نگاہ شوق ذرا دیکھ بھال کےhalqe nahīñ haiñ zulf ke halqe haiñ jaal kehaañ ai nigāh-e-shauq zarā dekh-bhāl keHusnاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
پہنچے ہیں تا کمر جو ترے گیسوئے رسامعنی یہ ہیں کمر بھی برابر ہے بال کےpahuñche haiñ tā-kamar jo tire gesū-e-rasāma.anī ye haiñ kamar bhī barābar hai baal keاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
بوس و کنار و وصل حسیناں ہے خوب شغلکمتر بزرگ ہوں گے خلاف اس خیال کےbos-o-kanār-o-vasl-e-hasīnāñ hai ḳhuub shaġhlkamtar buzurg hoñge ḳhilāf is ḳhayāl keاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
قامت سے تیرے صانع قدرت نے اے حسیںدکھلا دیا ہے حشر کو سانچے میں ڈھال کےqāmat se tere sāne-e-qudrat ne ai hasīñdikhlā diyā hai hashr ko sāñche meñ Dhaal keاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
شان دماغ عشق کے جلوے سے یہ بڑھیرکھتا ہے ہوش بھی قدم اپنے سنبھال کےshān-e-dimāġh ishq ke jalve se ye baḌhīrakhtā hai hosh bhī qadam apne sambhāl keاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
اس ادا سے وہ جفا کرتے ہیںکوئی جانے کہ وفا کرتے ہیںis adā se vo jafā karte haiñkoī jaane ki vafā karte haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
نظر بھی آئے جو زلف پیچاں تو سمجھیں یہ کوئی پالسی ہےالکٹرک لائٹ اس کو سمجھیں جو برق وش کوئی کوئی دےnazar bhī aa.e jo zulf-e-pechāñ to samjheñ ye koī policy haielectric light us ko samjheñ jo barq-vash koī koī deاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
اے خط بیاض عارض درکار ہے جو تجھ کوتحریر حسن کی کچھ روداد کیا کرے گاai ḳhatt-e-bayāz aariz darkār hai jo tujh kotahrīr husn kī kuchh rūdād kyā karegāنظم طباطبائیNazm Tabatabai
صاف ہے از بسکہ عکس گل سے گلزار چمنجانشین جوہر آئینہ ہے خار چمنsaaf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzār-e-chamanjānashīn-e-jauhar-e-ā.īna hai ḳhār-e-chamanمرزا غالبMirza Ghalib