حلقے نہیں ہیں زلف کے حلقے ہیں جال کے
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 9 sher · Roman Urdu ke saath
halqe nahīñ haiñ zulf ke halqe haiñ jaal kehaañ ai nigāh-e-shauq zarā dekh-bhāl ke
pahuñche haiñ tā-kamar jo tire gesū-e-rasāma.anī ye haiñ kamar bhī barābar hai baal ke
bos-o-kanār-o-vasl-e-hasīnāñ hai ḳhuub shaġhlkamtar buzurg hoñge ḳhilāf is ḳhayāl ke
qāmat se tere sāne-e-qudrat ne ai hasīñdikhlā diyā hai hashr ko sāñche meñ Dhaal ke
shān-e-dimāġh ishq ke jalve se ye baḌhīrakhtā hai hosh bhī qadam apne sambhāl ke
zīnat muqaddama hai musībat kā dahr meñsab sham.a ko jalāte haiñ sāñche meñ Dhaal ke
hastī ke haq ke sāmne kyā asl-e-īn-o-āñputle ye sab haiñ aap ke vahm-o-ḳhayāl ke
talvār le ke uThtā hai har tālib-e-faroġhdaur-e-falak meñ haiñ ye ishāre hilāl ke
pechīda zindagī ke karo tum muqaddamedikhlā hī degī maut natīja nikāl ke