میں نے کہا کہ بزم ناز چاہیے غیر سے تہیسن کے ستم ظریف نے مجھ کو اٹھا دیا کہ یوںmaiñ ne kahā ki bazm-e-nāz chāhiye ġhair se tahīsun ke sitam-zarīf ne mujh ko uThā diyā ki yuuñHusnمرزا غالبMirza Ghalib
غنچۂ ناشگفتہ کو دور سے مت دکھا کہ یوںبوسہ کو پوچھتا ہوں میں منہ سے مجھے بتا کہ یوںġhuncha-e-nā-shagufta ko duur se mat dikhā ki yuuñbose ko pūchhtā huuñ maiñ muñh se mujhe batā ki yuuñمرزا غالبMirza Ghalib
پرسش طرز دلبری کیجیے کیا کہ بن کہےاس کے ہر ایک اشارہ سے نکلے ہے یہ ادا کہ یوںpursish-e-tarz-e-dilbarī kījiye kyā ki bin kaheus ke har ek ishāre se nikle hai ye adā ki yuuñمرزا غالبMirza Ghalib
رات کے وقت مے پیے ساتھ رقیب کو لیےآئے وہ یاں خدا کرے پر نہ کرے خدا کہ یوںraat ke vaqt mai piye saath raqīb ko liyeaa.e vo yaañ ḳhudā kare par na kare ḳhudā ki yuuñمرزا غالبMirza Ghalib
غیر سے رات کیا بنی یہ جو کہا تو دیکھیےسامنے آن بیٹھنا اور یہ دیکھنا کہ یوںġhair se raat kyā banī ye jo kahā to dekhiyesāmne aan baiThnā aur ye dekhnā ki yuuñمرزا غالبMirza Ghalib
زکات حسن دے اے جلوۂ بینش کہ مہر آساچراغ خانۂ درویش ہو کاسہ گدائی کاzakāt-e-husn de ai jalva-e-bīnish ki mehr-āsācharāġh-e-ḳhāna-e-darvesh ho kaasa gadā.ī kāمرزا غالبMirza Ghalib