نالۂ میر سواد میں ہم تک دوشیں شب سے نہیں آیاشاید شہر سے اس ظالم کے عاشق وہ بدنام گیاnāla-e-'mīr' savād meñ ham tak doshīñ shab se nahīñ aayāshāyad shahr se us zālim ke āshiq vo badnām gayāIshqRaatمیر تقی میرMir Taqi Mir
عشق ہمارے خیال پڑا ہے خواب گئی آرام گیاجی کا جانا ٹھہر رہا ہے صبح گیا یا شام گیاishq hamāre ḳhayāl paḌā hai ḳhvāb ga.ī ārām gayājī kā jaanā Thahar rahā hai sub.h gayā yā shaam gayāمیر تقی میرMir Taqi Mir
عشق کیا سو دین گیا ایمان گیا اسلام گیادل نے ایسا کام کیا کچھ جس سے میں ناکام گیاishq kiyā so diin gayā īmān gayā islām gayādil ne aisā kaam kiyā kuchh jis se maiñ nākām gayāمیر تقی میرMir Taqi Mir
کس کس اپنی کل کو رووے ہجراں میں بے کل اس کاخواب گئی ہے تاب گئی ہے چین گیا آرام گیاkis kis apnī kal ko rove hijrāñ meñ bekal us kāḳhvāb ga.ī hai taab ga.ī hai chain gayā ārām gayāمیر تقی میرMir Taqi Mir
آیا یاں سے جانا ہی تو جی کا چھپانا کیا حاصلآج گیا یا کل جاوے گا صبح گیا یا شام گیاaayā yaañ se jaanā hī to jī kā chhupānā kyā hāsilaaj gayā yā kal jāvegā sub.h gayā yā shaam gayāمیر تقی میرMir Taqi Mir
بلا سے گریۂ شب تو ہی کچھ اثر کرتااگرچہ عشق میں آہ سحر سے کچھ نہ ہواbalā se girya-e-shab tū hī kuchh asar kartāagarche ishq meñ āh-e-sahar se kuchh na huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
پھنسایا تو آنکھوں نے دام بلا میںمگر عشق میں ہو گیا نام دل کاphañsāyā to āñkhoñ ne dām-e-balā meñmagar ishq meñ ho gayā naam dil kāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
ہر پیچ میں چیرے کے ترے لپٹے ہیں عاشقعالم کے دلاں بند ہیں تجھ بند قبا کےhar pech meñ chīre ke tire lipTe haiñ āshiqaalam ke dilāñ band haiñ tujh band-e-qabā keولی دکنیWali Dakani