جگر کے ٹکڑے ہوئے جل کے دل کباب ہوایہ عشق جان کو میرے کوئی عذاب ہواjigar ke TukḌe hue jal ke dil kabāb huāye ishq jaan ko mere koī azaab huāIshqبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کیا جو قتل مجھے تم نے خوب کام کیاکہ میں عذاب سے چھوٹا تمہیں ثواب ہواkiyā jo qatl mujhe tum ne ḳhuub kaam kiyāki maiñ azaab se chhūTā tumheñ savāb huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کبھی تو شیفتہ اس نے کہا کبھی شیداغرض کہ روز نیا اک مجھے خطاب ہواkabhī to shefta us ne kahā kabhī shaidāġharaz ki roz nayā ik mujhe ḳhitāb huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
پیوں نہ رشک سے خوں کیونکہ دم بہ دم اپناکہ ساتھ غیر کے وہ آج ہم شراب ہواpiyūñ na rashk se ḳhuuñ kyūñki dam-ba-dam apnāki saath ġhair ke vo aaj ham-sharāb huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
تمہارے لب کے لب جام نے لیے بوسےلب اپنے کاٹا کیا میں نہ کامیاب ہواtumhāre lab ke lab-e-jām ne liye boselab apne kaaTā kiyā maiñ na kāmyāb huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
بلا سے گریۂ شب تو ہی کچھ اثر کرتااگرچہ عشق میں آہ سحر سے کچھ نہ ہواbalā se girya-e-shab tū hī kuchh asar kartāagarche ishq meñ āh-e-sahar se kuchh na huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
پھنسایا تو آنکھوں نے دام بلا میںمگر عشق میں ہو گیا نام دل کاphañsāyā to āñkhoñ ne dām-e-balā meñmagar ishq meñ ho gayā naam dil kāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
ہر پیچ میں چیرے کے ترے لپٹے ہیں عاشقعالم کے دلاں بند ہیں تجھ بند قبا کےhar pech meñ chīre ke tire lipTe haiñ āshiqaalam ke dilāñ band haiñ tujh band-e-qabā keولی دکنیWali Dakani