جگر کے ٹکڑے ہوئے جل کے دل کباب ہوا
Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 11 sher · Roman Urdu ke saath
jigar ke TukḌe hue jal ke dil kabāb huāye ishq jaan ko mere koī azaab huā
kiyā jo qatl mujhe tum ne ḳhuub kaam kiyāki maiñ azaab se chhūTā tumheñ savāb huā
kabhī to shefta us ne kahā kabhī shaidāġharaz ki roz nayā ik mujhe ḳhitāb huā
piyūñ na rashk se ḳhuuñ kyūñki dam-ba-dam apnāki saath ġhair ke vo aaj ham-sharāb huā
tumhāre lab ke lab-e-jām ne liye boselab apne kaaTā kiyā maiñ na kāmyāb huā
galī galī tirī ḳhātir phirā ba-chashm-e-pur-āblagā ke tujh se dil apnā bahut ḳharāb huā
tirī galī meñ bahā.e phire hai sail-e-sarishkhamārā kāsa-e-sar kyā huā habāb huā
javāb-e-ḳhat ke na likhne se ye huā mālūmki aaj se hameñ ai nāma-bar javāb huā
mañgā.ī thī tirī tasvīr dil kī taskīñ komujhe to dekhte hī aur iztirāb huā
sitam tumhāre bahut aur din hisāb kā ekmujhe hai soch ye hī kis tarah hisāb huā
'zafar' badal ke radīf aur tū ġhazal vo sunāki jis kā tujh se har ik sher intiḳhāb huā