وہ تو ہے نا آشنا مشہور عالم میں ظفرپر خدا جانے وہ تجھ سے آشنا کیونکر ہواvo to hai nā-āshnā mash.hūr aalam meñ 'zafar'par ḳhudā jaane vo tujh se āshnā kyūñkar huāKhudaبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کیا کہوں دل مائل زلف دوتا کیونکر ہوایہ بھلا چنگا گرفتار بلا کیونکر ہواkyā kahūñ dil mā.il-e-zulf-e-dotā kyūñkar huāye bhalā chañgā giraftār-e-balā kyūñkar huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
جن کو محراب عبادت ہو خم ابروئے یاران کا کعبے میں کہو سجدہ ادا کیونکر ہواjin ko mehrāb-e-ibādat ho ḳham-e-abrū-e-yārun kā kaabe meñ kaho sajda adā kyūñkar huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
دیدۂ حیراں ہمارا تھا تمہارے زیر پاہم کو حیرت ہے کہ پیدا نقش پا کیونکر ہواdīda-e-hairāñ hamārā thā tumhāre zer-e-pāham ko hairat hai ki paidā naqsh-e-pā kyūñkar huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
نامہ بر خط دے کے اس نو خط کو تو نے کیا کہاکیا خطا تجھ سے ہوئی اور وہ خفا کیونکر ہواnāma-bar ḳhat de ke us nau-ḳhat ko tū ne kyā kahākyā ḳhatā tujh se huī aur vo ḳhafā kyūñkar huāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
جس پہ تیری نظر نہیں ہوتیاس کی جانب خدا نہیں ہوتاjis pe terī nazar nahīñ hotīus kī jānib ḳhudā nahīñ hotāجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
یوں تو ہیں سارے بتاں غارتگر ایمان و دیںایک وہ کافر صنم نام خدا کیا چیز ہےyuuñ to haiñ saare butāñ ġhārat-gar-e-īmān-o-dīñek vo kāfir sanam nām-e-ḳhudā kyā chiiz haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
پھر جو دیکھا تو کچھ نہ تھا یا ربکون پوچھے کہ کیا کیا تو نےphir jo dekhā to kuchh na thā yā rabkaun pūchhe ki kyā kiyā tū neالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali