کیا چھوڑیں اسیران محبت کو وہ جس نےصدقے میں نہ اک مرغ گرفتار بھی چھوڑاkyā chhoḌeñ asīrān-e-mohabbat ko vo jis nesadqe meñ na ik murġh-e-giraftār bhī chhoḌāIshqبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ہم نے تری خاطر سے دل زار بھی چھوڑاتو بھی نہ ہوا یار اور اک یار بھی چھوڑاham ne tirī ḳhātir se dil-e-zār bhī chhoḌātū bhī na huā yaar aur ik yaar bhī chhoḌāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کیا ہوگا رفوگر سے رفو میرا گریباناے دست جنوں تو نے نہیں تار بھی چھوڑاkyā hogā rafūgar se rafū merā garebānai dast-e-junūñ tū ne nahīñ taar bhī chhoḌāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
دیں دے کے گیا کفر کے بھی کام سے عاشقتسبیح کے ساتھ اس نے تو زنار بھی چھوڑاdiiñ de ke gayā kufr ke bhī kaam se āshiqtasbīh ke saath us ne to zunnār bhī chhoḌāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
گوشہ میں تری چشم سیہ مست کے دل نےکی جب سے جگہ خانۂ خمار بھی چھوڑاgoshe meñ tirī chashm-e-siyah-mast ke dil nekī jab se jagah ḳhāna-e-ḳhummār bhī chhoḌāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
عشق کی تیغ جگردار اڑا لی کس نےعلم کے ہاتھ میں خالی ہے نیام اے ساقیishq kī teġh-e-jigar-dār uḌā lī kis neilm ke haath meñ ḳhālī hai niyām ai saaqīعلامہ اقبالAllama Iqbal
اپنے حدود سے نہ بڑھے کوئی عشق میںجو ذرہ جس جگہ ہے وہیں آفتاب ہےapne hudūd se na baḌhe koī ishq meñjo zarra jis jagah hai vahīñ āftāb haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi