رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آج آرائش گیسوئے دوتا ہوتی ہے

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 13 sher · Roman Urdu ke saath

aaj ārā.ish-e-gesū-e-dotā hotī haiphir mirī jaan giraftār-e-balā hotī hai
shauq-e-pā-bosī-e-jānāñ mujhe baaqī hai hanūzghaas jo ugtī hai turbat pe hinā hotī hai
phir kisī kaam kā baaqī nahīñ rahtā insāñsach to ye hai ki mohabbat bhī balā hotī hai
jo zamīñ kūcha-e-qātil meñ nikaltī hai na.īvaqf vo bahr-e-mazār-e-shohadā hotī hai
jis ne dekhī ho vo chitvan koī us se pūchhejaan kyūñ-kar hadaf-e-tīr-e-qazā hotī hai
naza.a kā vaqt burā vaqt hai ḳhāliq kī panāhhai vo saa.at ki qayāmat se sivā hotī hai
ruuh to ek taraf hotī hai ruḳhsat tan seaarzū ek taraf dil se judā hotī hai
ḳhud samajhtā huuñ ki rone se bhalā kyā hāsilpar karūñ kyā yūñhī taskīn zarā hotī hai
rauñdte phirte haiñ vo majma-e-aġhyār ke saathḳhuub tauqīr-e-mazār-e-shohadā hotī hai
murġh-e-bismil kī tarah loT gayā dil merānigah-e-nāz kī tāsīr bhī kyā hotī hai
naala kar lene deñ lillāh na chheḌeñ ahbābzabt kartā huuñ to taklīf sivā hotī hai
jism to ḳhaak meñ mil jaate hue dekhte haiñruuh kyā jaane kidhar jaatī hai kyā hotī hai
huuñ fareb-e-sitam-e-yār kā qaa.il 'akbar'marte marte na khulā ye ki jafā hotī hai