پھر گئی آپ کی دو دن میں طبیعت کیسی
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 6 sher · Roman Urdu ke saath
phir ga.ī aap kī do din meñ tabī.at kaisīye vafā kaisī thī sāhab ye muravvat kaisī
dost ahbāb se hañs bol ke kaT jā.egī raatrind-e-āzād haiñ ham ko shab-e-furqat kaisī
jis hasīñ se huī ulfat vahī ma.ashūq apnāishq kis chiiz ko kahte haiñ tabī.at kaisī
hai jo qismat meñ vahī hogā na kuchh kam na sivāaarzū kahte haiñ kis chiiz ko hasrat kaisī
haal khultā nahīñ kuchh dil ke dhaḌakne kā mujheaaj rah rah ke bhar aatī hai tabī.at kaisī
kūcha-e-yār meñ jaatā to nazāra kartāqais āvāra hai jañgal meñ ye vahshat kaisī