ضد ہے انہیں پورا مرا ارماں نہ کریں گے
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 7 sher · Roman Urdu ke saath
zid hai unheñ puurā mirā armāñ na kareñgemuñh se jo nahīñ niklī hai ab haañ na kareñge
kyuuñ zulf kā bosa mujhe lene nahīñ detekahte haiñ ki vallāh pareshāñ na kareñge
hai zehan meñ ik baat tumhāre muta.alliqḳhalvat meñ jo pūchhoge to pinhāñ na kareñge
vaa.iz to banāte haiñ musalmān ko kāfirafsos ye kāfir ko musalmāñ na kareñge
kyuuñ shukr-guzārī kā mujhe shauq hai itnāsuntā huuñ vo mujh par koī ehsāñ na kareñge
dīvāna na samjhe hameñ vo samjhe sharābīab chaak kabhī jeb o garebāñ na kareñge
vo jānte haiñ ġhair mire ghar meñ hai mehmāñā.eñge to mujh par koī ehsāñ na kareñge