بہت رہا ہے کبھی لطف یار ہم پر بھی
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 7 sher · Roman Urdu ke saath
bahut rahā hai kabhī lutf-e-yār ham par bhīguzar chukī hai ye fasl-e-bahār ham par bhī
urūs-e-dahr ko aayā thā pyaar ham par bhīye besvā thī kisī shab nisār ham par bhī
biThā chukā hai zamāna hameñ bhī masnad parhuā kiye haiñ javāhir nisār ham par bhī
adū ko bhī jo banāyā hai tum ne mahram-e-rāzto faḳhr kyā jo huā e'tibār ham par bhī
ḳhatā kisī kī ho lekin khulī jo un kī zabāñto ho hī jaate haiñ do ek vaar ham par bhī
ham aise rind magar ye zamāna hai vo ġhazabki Daal hī diyā duniyā kā baar ham par bhī
hameñ bhī ātish-e-ulfat jalā chukī 'akbar'harām ho ga.ī dozaḳh kī naar ham par bhī