رمزِ زندگیRamz E Zindagi

فلک دیتا ہے جن کو عیش ان کو غم بھی ہوتے ہیں

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 14 sher · Roman Urdu ke saath

falak detā hai jin ko aish un ko ġham bhī hote haiñjahāñ bajte haiñ naqqāre vahīñ mātam bhī hote haiñ
gile shikve kahāñ tak hoñge aadhī raat to guzrīpareshāñ tum bhī hote ho pareshāñ ham bhī hote haiñ
jo rakkhe chārāgar kāfūr duunī aag lag jaa.ekahīñ ye zaḳhm-e-dil sharminda-e-marham bhī hote haiñ
vo āñkheñ sāmrī-fan haiñ vo lab īsā-nafas dekhomujhī par sehr hote haiñ mujhī par dam bhī hote haiñ
zamāna dostī par in hasīnoñ kī na itrā.eye ālam-dost aksar dushman-e-ālam bhī hote haiñ
ba-zāhir rahnumā haiñ aur dil meñ bad-gumānī haitire kūche meñ jo jaatā hai aage ham bhī hote haiñ
hamāre āñsuoñ kī ābdārī aur hī kuchh haiki yuuñ hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhī hote haiñ
ḳhudā ke ghar meñ kyā hai kaam zāhid bāda-ḳhvāroñ kājinheñ miltī nahīñ vo tishna-e-zamzam bhī hote haiñ
hamāre saath hī paidā huā hai ishq ai nāsehjudā.ī kis tarah se ho judā tavām bhī hote haiñ
nahīñ ghaTtī shab-e-furqat bhī aksar ham ne dekhā haijo baḌh jaate haiñ had se vo hī ghaT kar kam bhī hote haiñ
bachā.ūñ pairahan kyā chārāgar maiñ dast-e-vahshat sekahīñ aise garebāñ dāman-e-maryam bhī hote haiñ
tabī.at kī kajī hargiz miTā.e se nahīñ miTtīkabhī sīdhe tumhāre gesu-e-pur-ḳham bhī hote haiñ
jo kahtā huuñ ki martā huuñ to farmāte haiñ mar jaaojo ġhash aatā hai to mujh par hazāroñ dam bhī hote haiñ
kisī kā vāda-e-dīdār to ai 'dāġh' bar-haq haimagar ye dekhiye dil-shād us din ham bhī hote haiñ