لے چلا جان مری روٹھ کے جانا تیرا
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 15 sher · Roman Urdu ke saath
le chalā jaan mirī ruuTh ke jaanā terāaise aane se to behtar thā na aanā terā
apne dil ko bhī batā.ūñ na Thikānā terāsab ne jaanā jo patā ek ne jaanā terā
tū jo ai zulf pareshān rahā kartī haikis ke ujḌe hue dil meñ hai Thikānā terā
aarzū hī na rahī sub.h-e-vatan kī mujh koshām-e-ġhurbat hai ajab vaqt suhānā terā
ye samajh kar tujhe ai maut lagā rakkhā haikaam aatā hai bure vaqt meñ aanā terā
ai dil-e-shefta meñ aag lagāne vaalerañg laayā hai ye lākhe kā jamānā terā
tū ḳhudā to nahīñ ai nāseh-e-nādāñ merākyā ḳhatā kī jo kahā maiñ ne na maanā terā
ranj kyā vasl-e-adū kā jo ta.alluq hī nahīñmujh ko vallāh hañsātā hai rulānā terā
ka.aba o dair meñ yā chashm-o-dil-e-āshiq meñinhīñ do-chār gharoñ meñ hai Thikānā terā
tark-e-ādat se mujhe niind nahīñ aane kīkahīñ nīchā na ho ai gor sirhānā terā
maiñ jo kahtā huuñ uThā.e haiñ bahut ranj-e-firāqvo ye kahte haiñ baḌā dil hai tavānā terā
bazm-e-dushman se tujhe kaun uThā saktā haiik qayāmat kā uThānā hai uThānā terā
apnī āñkhoñ meñ abhī kauñd ga.ī bijlī sīham na samjhe ki ye aanā hai ki jaanā terā
yuuñ to kyā aa.egā tū fart-e-nazākat se yahāñsaḳht dushvār hai dhoke meñ bhī aanā terā
'dāġh' ko yuuñ vo miTāte haiñ ye farmāte haiñtū badal Daal huā naam purānā terā