پھرے راہ سے وہ یہاں آتے آتے
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 18 sher · Roman Urdu ke saath
phire raah se vo yahāñ aate aateajal mar rahī tū kahāñ aate aate
na jaanā ki duniyā se jaatā hai koībahut der kī mehrbāñ aate aate
sunā hai ki aatā hai sar nāma-bar kākahāñ rah gayā armuġhāñ aate aate
yaqīñ hai ki ho jaa.e āḳhir ko sachchīmire muñh meñ terī zabāñ aate aate
sunāne ke qābil jo thī baat un kovahī rah ga.ī darmiyāñ aate aate
mujhe yaad karne se ye mudda.ā thānikal jaa.e dam hichkiyāñ aate aate
abhī sin hī kyā hai jo bebākiyāñ hoñunheñ ā.eñgī shoḳhiyāñ aate aate
kalejā mire muñh ko aa.egā ik dinyūñhī lab par āh-o-fuġhāñ aate aate
chale aate haiñ dil meñ armān lākhoñmakāñ bhar gayā mehmāñ aate aate
natīja na niklā thake sab payāmīvahāñ jaate jaate yahāñ aate aate
tumhārā hī mushtāq-e-dīdār hogāgayā jaan se ik javāñ aate aate
tirī aañkh phirte hī kaisā phirā haimirī raah par āsmāñ aate aate
paḌā hai baḌā pech phir dil-lagī meñtabī.at rukī hai jahāñ aate aate
mire āshiyāñ ke to the chaar tinkechaman uḌ gayā āñdhiyāñ aate aate
kisī ne kuchh un ko ubhārā to hotāna aate na aate yahāñ aate aate
qayāmat bhī aatī thī hamrāh us kemagar rah ga.ī ham-ināñ aate aate
banā hai hamesha ye dil baaġh o sahrābahār aate aate ḳhizāñ aate aate
nahīñ khel ai 'dāġh' yāroñ se kah doki aatī hai urdu zabāñ aate aate