رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عجب اپنا حال ہوتا جو وصال یار ہوتا

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 11 sher · Roman Urdu ke saath

ajab apnā haal hotā jo visāl-e-yār hotākabhī jaan sadqe hotī kabhī dil nisār hotā
koī fitna tā-qayāmat na phir āshkār hotātire dil pe kaash zālim mujhe iḳhtiyār hotā
jo tumhārī tarah tum se koī jhūTe va.ade kartātumhīñ munsifī se kah do tumheñ e'tibār hotā
ġham-e-ishq meñ mazā thā jo use samajh ke khāteye vo zahr hai ki āḳhir mai-e-ḳhush-gavār hotā
ye maza thā dil-lagī kā ki barābar aag lagtīna tujhe qarār hotā na mujhe qarār hotā
na mazā hai dushmanī meñ na hai lutf dostī meñkoī ġhair ġhair hotā koī yaar yaar hotā
tire va.ade par sitamgar abhī aur sabr karteagar apnī zindagī kā hameñ e'tibār hotā
ye vo dard-e-dil nahīñ hai ki ho chārasāz koīagar ek baar miTtā to hazār baar hotā
ga.e hosh tere zāhid jo vo chashm-e-mast dekhīmujhe kyā ulaT na dete jo na bāda-ḳhvār hotā
mujhe mānte sab aisā ki adū bhī sajde kartedar-e-yār ka.aba bantā jo mirā mazār hotā
tumheñ naaz ho na kyūñkar ki liyā hai 'dāġh' kā dilye raqam na haath lagtī na ye iftiḳhār hotā