جہاں تیرا نقش قدم دیکھتے ہیں
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 8 sher · Roman Urdu ke saath
jahāñ terā naqsh-e-qadam dekhte haiñḳhayābāñ ḳhayābāñ iram dekhte haiñ
dil-āshuftagāñ ḳhāl-e-kunj-e-dahan kesuvaidā meñ sair-e-adam dekhte haiñ
tire sarv-qāmat se ik qadd-e-ādamqayāmat ke fitne ko kam dekhte haiñ
tamāshā ki ai mahv-e-ā.īna-dārītujhe kis tamannā se ham dekhte haiñ
surāġh-e-taf-e-nāla le dāġh-e-dil seki shab-rau kā naqsh-e-qadam dekhte haiñ
banā kar faqīroñ kā ham bhes 'ġhālib'tamāshā-e-ahl-e-karam dekhte haiñ
kisū ko za-ḳhud rasta kam dekhte haiñki aahū ko pāband-e-ram dekhte haiñ
ḳhat-e-laḳht-e-dil yak-qalam dekhte haiñmizha ko javāhar raqam dekhte haiñ