رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کیوں جل گیا نہ تاب رخ یار دیکھ کر

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 12 sher · Roman Urdu ke saath

kyuuñ jal gayā na tāb-e-ruḳh-e-yār dekh karjaltā huuñ apnī tāqat-e-dīdār dekh kar
ātish-parast kahte haiñ ahl-e-jahāñ mujhesargarm-e-nāla-hā-e-sharar-bār dekh kar
kyā ābrū-e-ishq jahāñ aam ho jafāruktā huuñ tum ko be-sabab āzār dekh kar
aatā hai mere qatl ko par josh-e-rashk semartā huuñ us ke haath meñ talvār dekh kar
sābit huā hai gardan-e-mīnā pe ḳhūn-e-ḳhalqlarze hai mauj-e-mai tirī raftār dekh kar
vā-hasratā ki yaar ne khīñchā sitam se haathham ko harīs-e-lazzat-e-āzār dekh kar
bik jaate haiñ ham aap matā-e-suḳhan ke saathlekin ayār-e-taba.a-e-ḳharīdār dekh kar
zunnār bāñdh sub.ha-e-sad-dāna toḌ Daalrah-rau chale hai raah ko hamvār dekh kar
in ābloñ se paañv ke ghabrā gayā thā maiñjī ḳhush huā hai raah ko pur-ḳhār dekh kar
kyā bad-gumāñ hai mujh se ki ā.īne meñ miretuutī kā aks samjhe hai zañgār dekh kar
girnī thī ham pe barq-e-tajallī na tuur pardete haiñ baada zarf-e-qadah-ḳhvār dekh kar
sar phoḌnā vo 'ġhālib'-e-shorīda haal kāyaad aa gayā mujhe tirī dīvār dekh kar