بازیچۂ اطفال ہے دنیا مرے آگے
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 14 sher · Roman Urdu ke saath
bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aagehotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage
ik khel hai aurañg-e-sulaimāñ mire nazdīkik baat hai ejāz-e-masīhā mire aage
juz naam nahīñ sūrat-e-ālam mujhe manzūrjuz vahm nahīñ hastī-e-ashiyā mire aage
hotā hai nihāñ gard meñ sahrā mire hoteghistā hai jabīñ ḳhaak pe dariyā mire aage
mat pūchh ki kyā haal hai merā tire pīchhetū dekh ki kyā rañg hai terā mire aage
sach kahte ho ḳhud-bīn o ḳhud-ārā huuñ na kyuuñ huuñbaiThā hai but-e-ā.ina-sīmā mire aage
phir dekhiye andāz-e-gul-afshānī-e-guftārrakh de koī paimāna-e-sahbā mire aage
nafrat kā gumāñ guzre hai maiñ rashk se guzrākyūñkar kahūñ lo naam na un kā mire aage
īmāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufrka.aba mire pīchhe hai kalīsā mire aage
āshiq huuñ pa māshūq-farebī hai mirā kaammajnūñ ko burā kahtī hai lailā mire aage
ḳhush hote haiñ par vasl meñ yuuñ mar nahīñ jaateaa.ī shab-e-hijrāñ kī tamannā mire aage
hai maujzan ik qulzum-e-ḳhūñ kaash yahī hoaatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage
go haath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hairahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage
ham-pesha o ham-mashrab o hamrāz hai merā'ġhālib' ko burā kyuuñ kaho achchhā mire aage