رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بلا سے ہیں جو یہ پیش نظر در و دیوار

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath

balā se haiñ jo ye pesh-e-nazar dar-o-dīvārnigāh-e-shauq ko haiñ bāl-o-par dar-o-dīvār
vufūr-e-ashk ne kāshāne kā kiyā ye rañgki ho ga.e mire dīvār-o-dar dar-o-dīvār
nahīñ hai saaya ki sun kar naved-e-maqdam-e-yārga.e haiñ chand qadam pesh-tar dar-o-dīvār
huī hai kis qadar arzāni-e-mai-e-jalvaki mast hai tire kūche meñ har dar-o-dīvār
jo hai tujhe sar-e-saudā-e-intizār to aaki haiñ dukān-e-matā-e-nazar dar-o-dīvār
hujūm-e-girya kā sāmān kab kiyā maiñ neki gir paḌe na mire paañv par dar-o-dīvār
vo aa rahā mire ham-sā.e meñ to saa.e sehue fidā dar-o-dīvār par dar-o-dīvār
nazar meñ khaTke hai bin tere ghar kī ābādīhamesha rote haiñ ham dekh kar dar-o-dīvār
na pūchh be-ḳhudi-e-aish-e-maqdam-e-sailābki nāchte haiñ paḌe sar-ba-sar dar-o-dīvār
na kah kisī se ki 'ġhālib' nahīñ zamāne meñharīf-e-rāz-e-mohabbat magar dar-o-dīvār