آبرو کیا خاک اس گل کی کہ گلشن میں نہیں
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 11 sher · Roman Urdu ke saath
aabrū kyā ḳhaak us gul kī ki gulshan meñ nahīñhai garebāñ nañg-e-pairāhan jo dāman meñ nahīñ
zof se ai girya kuchh baaqī mire tan meñ nahīñrañg ho kar uḌ gayā jo ḳhuuñ ki dāman meñ nahīñ
ho ga.e haiñ jamā ajzā-e-nigāh-e-āftābzarre us ke ghar kī dīvāroñ ke rauzan meñ nahīñ
kyā kahūñ tārīki-e-zindān-e-ġham andher haipamba nūr-e-sub.h se kam jis ke rauzan meñ nahīñ
raunaq-e-hastī hai ishq-e-ḳhāna vīrāñ saaz seanjuman be-shamā hai gar barq ḳhirman meñ nahīñ
zaḳhm silvāne se mujh par chārā-juī kā hai taanġhair samjhā hai ki lazzat zaḳhm-e-sozan meñ nahīñ
bas-ki haiñ ham ik bahār-e-nāz ke maare huejalva-e-gul ke sivā gard apne madfan meñ nahīñ
qatra qatra ik hayūlā hai na.e nāsūr kāḳhuuñ bhī zauq-e-dard se fāriġh mire tan meñ nahīñ
le ga.ī saaqī kī naḳhvat qulzum-āshāmī mirīmauj-e-mai kī aaj rag miinā kī gardan meñ nahīñ
ho fishār-e-zof meñ kyā nā-tavānī kī numūdqad ke jhukne kī bhī gunjā.ish mire tan meñ nahīñ
thī vatan meñ shaan kyā 'ġhālib' ki ho ġhurbat meñ qadrbe-takalluf huuñ vo musht-e-ḳhas ki gulḳhan meñ nahīñ