رمزِ زندگیRamz E Zindagi

تسکیں کو ہم نہ روئیں جو ذوق نظر ملے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 7 sher · Roman Urdu ke saath

taskīñ ko ham na ro.eñ jo zauq-e-nazar milehūrān-e-ḳhuld meñ tirī sūrat magar mile
apnī galī meñ mujh ko na kar dafn bād-e-qatlmere pate se ḳhalq ko kyuuñ terā ghar mile
sāqī-garī kī sharm karo aaj varna hamhar shab piyā hī karte haiñ mai jis qadar mile
tujh se to kuchh kalām nahīñ lekin ai nadīmmerā salām kahiyo agar nāma-bar mile
tum ko bhī ham dikhā.eñ ki majnūñ ne kyā kiyāfursat kashākash-e-ġham-e-pinhāñ se gar mile
lāzim nahīñ ki ḳhizr kī ham pairvī kareñjaanā ki ik buzurg hameñ ham-safar mile
ai sākinān-e-kucha-e-dildār dekhnātum ko kahīñ jo 'ġhālib'-e-āshufta-sar mile