وارستہ اس سے ہیں کہ محبت ہی کیوں نہ ہو
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath
vārasta us se haiñ ki mohabbat hī kyuuñ na hokiije hamāre saath adāvat hī kyuuñ na ho
chhoḌā na mujh meñ zo.af ne rañg iḳhtilāt kāhai dil pe baar naqsh-e-mohabbat hī kyuuñ na ho
hai mujh ko tujh se tazkira-e-ġhair kā gilahar-chand bar-sabīl-e-shikāyat hī kyuuñ na ho
paidā huī hai kahte haiñ har dard kī davāyuuñ ho to chāra-e-ġham-e-ulfat hī kyuuñ na ho
Daalā na be-kasī ne kisī se muāmlaapne se khīñchtā huuñ ḳhajālat hī kyuuñ na ho
hai aadmī bajā.e ḳhud ik mahshar-e-ḳhayālham anjuman samajhte haiñ ḳhalvat hī kyuuñ na ho
hañgāma-e-zabūni-e-himmat hai infi.ālhāsil na kiije dahr se ibrat hī kyuuñ na ho
vārastagī bahāna-e-begāngī nahīñapne se kar na ġhair se vahshat hī kyuuñ na ho
miTtā hai faut-e-fursat-e-hastī kā ġham koīumr-e-azīz sarf-e-ibādat hī kyuuñ na ho
us fitna-ḳhū ke dar se ab uThte nahīñ 'asad'us meñ hamāre sar pe qayāmat hī kyuuñ na ho