دائم پڑا ہوا ترے در پر نہیں ہوں میں
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 8 sher · Roman Urdu ke saath
daa.im paḌā huā tire dar par nahīñ huuñ maiñḳhaak aisī zindagī pe ki patthar nahīñ huuñ maiñ
kyuuñ gardish-e-mudām se ghabrā na jaa.e dilinsān huuñ piyāla o sāġhar nahīñ huuñ maiñ
yā-rab zamāna mujh ko miTātā hai kis liyelauh-e-jahāñ pe harf-e-mukarrar nahīñ huuñ maiñ
had chāhiye sazā meñ uqūbat ke vāsteāḳhir gunāhgār huuñ kāfar nahīñ huuñ maiñ
kis vāste aziiz nahīñ jānte mujhela.al o zamurrad o zar o gauhar nahīñ huuñ maiñ
rakhte ho tum qadam mirī āñkhoñ se kyuuñ dareġhrutbe meñ mahr-o-māh se kam-tar nahīñ huuñ maiñ
karte ho mujh ko man.a-e-qadam-bos kis liyekyā āsmān ke bhī barābar nahīñ huuñ maiñ
'ġhālib' vazīfa-ḳhvār ho do shaah ko duāvo din ga.e ki kahte the naukar nahīñ huuñ maiñ