رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دھمکی میں مر گیا جو نہ باب نبرد تھا

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 7 sher · Roman Urdu ke saath

dhamkī meñ mar gayā jo na bāb-e-nabard thāishq-e-nabard-pesha talabgār-e-mard thā
thā zindagī meñ marg kā khaTkā lagā huāuḌne se pesh-tar bhī mirā rañg zard thā
tālīf nusḳha-hā-e-vafā kar rahā thā maiñmajmūa-e-ḳhayāl abhī fard fard thā
dil tā jigar ki sāhil-e-dariyā-e-ḳhūñ hai abis rahguzar meñ jalva-e-gul aage gard thā
jaatī hai koī kashmakash andoh-e-ishq kīdil bhī agar gayā to vahī dil kā dard thā
ahbāb chārasāzi-e-vahshat na kar sakezindāñ meñ bhī ḳhayāl bayābāñ-navard thā
ye lāsh-e-be-kafan 'asad'-e-ḳhasta-jāñ kī haihaq maġhfirat kare ajab āzād mard thā