فریاد کی کوئی لے نہیں ہے
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 7 sher · Roman Urdu ke saath
fariyād kī koī lai nahīñ hainaala pāband-e-nai nahīñ hai
kyuuñ bote haiñ bāġhbāñ toñbegar baaġh gadā-e-mai nahīñ hai
har-chand har ek shai meñ tū haipar tujh sī koī shai nahīñ hai
haañ khā.iyo mat fareb-e-hastīhar-chand kaheñ ki hai nahīñ hai
shādī se guzar ki ġham na hoveurdī jo na ho to dai nahīñ hai
kyuuñ radd-e-qadah kare hai zāhidmai hai ye magas kī qai nahīñ hai
hastī hai na kuchh adam hai 'ġhālib'āḳhir tū kyā hai ai nahīñ hai