گئی وہ بات کہ ہو گفتگو تو کیونکر ہو
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath
ga.ī vo baat ki ho guftugū to kyūñkar hokahe se kuchh na huā phir kaho to kyūñkar ho
hamāre zehn meñ us fikr kā hai naam visālki gar na ho to kahāñ jaa.eñ ho to kyūñkar ho
adab hai aur yahī kashmakash to kyā kiijehayā hai aur yahī gū-magū to kyūñkar ho
tumhīñ kaho ki guzārā sanam-parastoñ kābutoñ kī ho agar aisī hī ḳhū to kyūñkar ho
ulajhte ho tum agar dekhte ho ā.īnajo tum se shahr meñ hoñ ek do to kyūñkar ho
jise nasīb ho roz-e-siyāh merā sāvo shaḳhs din na kahe raat ko to kyūñkar ho
hameñ phir un se ummīd aur unheñ hamārī qadrhamārī baat hī pūchheñ na vo to kyūñkar ho
ġhalat na thā hameñ ḳhat par gumāñ tasallī kāna maane dīda-e-dīdār jo to kyūñkar ho
batāo us mizha ko dekh kar ki mujh ko qarārvo niish ho rag-e-jāñ meñ faro to kyūñkar ho
mujhe junūñ nahīñ 'ġhālib' vale ba-qaul-e-huzūrfirāq-e-yār meñ taskīn ho to kyūñkar ho